Mirza Ghalib
Mirza Ghalib Ibteda haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur Balli maarhah ke mahalle ki wo pechida daleeloN ki see wo galiYan saamne Taal ke nuKkad pe baTeroN ke posheede guD-guDaati hui paaN pi peekoN meiN wo daad wo waH-waH chand darwaaze par laTke huye boshida se kuch TaaT ke parde ek baKri ke mamiyaane ki awaaZ aur dhoondhlaayi huyi shaam ke be-noor andhere aise deewaroN se mooH joD kar chalte haiN yahaN chuDi-waala unke katri ke badi bee jaise apNi boojHti hui aaNkhoN se darwaaze TaTole aisee be-noor andheri see gali qaasim se ek quran-e-sukhan ka safa khulta hai asad allah Khan 'GHalib' ka patha milta hai. 1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ? tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal jab aaNkh hee se na Tapka to fir la